Friday 24 October 2014

Poetry of Shah Muhammad Taqi Raaz Niyazi

Tumhari Be-Niyazi ka Tamaasha Hum Bhi Dekhenge.
Ye Aalam Kis Tarah Hota Hai Ruswa Hum Bhi Dekhenge.

Tumhari Be-Niyazi ka Tamaasha Hum Bhi Dekhenge.
Kisi Din to Kamaal-e-Zauq-e-Sajda Hum Bhi Dekhenge.


Kisi Surat To Ummeedon Ka Sahaara Hum Bhi Dekhenge.
Wahi Naqsha Wahi Jalwa Khudaara Hum Bhi Dekhenge.


Khud Apne Raaz ko Aalam Mein Afshaan Hum Bhi Dekheinge..!!!
Ye Aalam Kis Tarah Hota Hai Ruswa Hum Bhi Dekhenge.


Kisi Din To Tumhare Aastane se Karam Hoga.
Shakista Paa Hain Lekin Badh Rahe Hain Jaanib-e-Manzil.

Azal Ke Din Jo Dikhlaaya Tha Terey Lutf-e-Paiham Ne.
Zaraa Aye ‘Raaz’ Uthne do Nigaahe Banda-Parwar Ko.

[Shah Muhammad Taqi Raaz Niyazi]

No comments: